shauq kā silsila be-karāñ hai
zindagī kārvāñ kārvāñ hai
hāsil-e-narmī-e-shabnam-o-gil
ātish-e-ġham kā sail-e-ravāñ hai
har nafas meñ tirī āhaTeñ haiñ
har nafas zindagī kā nishāñ hai
apnī vīrāniyoñ par abhī tak
dil ko shādābiyoñ kā gumāñ hai
ham-nafas dil dhaḌakte haiñ jab tak
kārobār-e-mohabbat javāñ hai
tohmat-e-mai-kashī bhī uThā.ī
tishnagī hai ki sho.ala-ba-jāñ hai
un ke dāman meñ bhī phuul hote
jin se ra.anā.ī-e-gulsitāñ hai
shauq ka silsila be-karan hai
zindagi karwan karwan hai
hasil-e-narmi-e-shabnam-o-gil
aatish-e-gham ka sail-e-rawan hai
har nafas mein teri aahaTen hain
har nafas zindagi ka nishan hai
apni viraniyon par abhi tak
dil ko shadabiyon ka guman hai
ham-nafas dil dhaDakte hain jab tak
karobar-e-mohabbat jawan hai
tohmat-e-mai-kashi bhi uThai
tishnagi hai ki shoala-ba-jaan hai
un ke daman mein bhi phul hote
jin se ranai-e-gulsitan hai
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Zamarrud Bano
Leave a comment