Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baldev Raaj

  • Ghazal


main ji raha hun tera sahaara liye baghair


maiñ jī rahā huuñ terā sahārā liye baġhair
ye zahr pī rahā huuñ gavārā kiye baġhair

biktā na kaash ishq kī qīmat liye baġhair
maiñ un kā ho gayā unheñ apnā kiye baġhair

vāqif to huuñ vafā ke natīje se ham-nashīñ
bantī nahīñ hai un pe bharosā kiye baġhair

kyā zindagī hai ahl-e-gulistāñ kī zindagī
gul hañs rahe haiñ chāk-e-garebāñ siye baġhair

din-rāt ham ne ġham kī hifāzat to kī magar
duniyā na rah sakī hameñ rusvā kiye baġhair

marne kī aarzū mujhe muddat se hai magar
lekin ye kaam ho nahīñ saktā jiye baġhair

un kī nigāh-e-mast ke sadqe meñ muddatoñ
ik be-ḳhudī kā daur rahā hai piye baġhair

barq-e-chaman hudūd-e-chaman se nikal ke dekh
tārīk ek aur bhī ghar hai diye baġhair

ai 'raaj raas aa na sakī mahfil-e-hayāt
ham aa ga.e the kis kī ijāzat liye baġhair

main ji raha hun tera sahaara liye baghair
ye zahr pi raha hun gawara kiye baghair

bikta na kash ishq ki qimat liye baghair
main un ka ho gaya unhen apna kiye baghair

waqif to hun wafa ke natije se ham-nashin
banti nahin hai un pe bharosa kiye baghair

kya zindagi hai ahl-e-gulistan ki zindagi
gul hans rahe hain chaak-e-gareban siye baghair

din-raat hum ne gham ki hifazat to ki magar
duniya na rah saki hamein ruswa kiye baghair

marne ki aarzu mujhe muddat se hai magar
lekin ye kaam ho nahin sakta jiye baghair

un ki nigah-e-mast ke sadqe mein muddaton
ek be-KHudi ka daur raha hai piye baghair

barq-e-chaman hudud-e-chaman se nikal ke dekh
tarik ek aur bhi ghar hai diye baghair

ai 'raj ras aa na saki mahfil-e-hayat
hum aa gae the kis ki ijazat liye baghair


Source: Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 140) Author : فرحت احساس Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)

Leave a comment

+