pā-ba-jaulāñ arsa-e-sarv-o-sabā meñ aa.e haiñ
ham bhī kuchh naġhme liye shahr-e-navā meñ aa.e haiñ
ham ḳhas-o-ḳhāshāk āvāra guzargāhoñ kā bojh
raqs karne tere kūche kī havā meñ aa.e haiñ
ye fishār-e-gard-o-zulmat ye ḳharosh-e-abr-o-bād
aap hī kā dil hai milne is fazā meñ aa.e haiñ
tujh se mil kar sab se ab dāman chhuḌā leñge magar
saath jin kāñToñ ke ham rāh-e-vafā meñ aa.e haiñ
sharm ke kuchh phuul le kar kuchh nadāmat ke guhar
tere parvarda tirī daulat-sarā meñ aa.e haiñ
ab tak āñkhoñ kī namī kā silsila TuuTā nahīñ
kuchh ġhubār aise hī jī par ibtidā meñ aa.e haiñ
aaj hī dekhe the armānoñ ke ḳhvāb aur aaj hī
kuchh na.e halqe nazar zanjīr-e-pā meñ aa.e haiñ
pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain
hum bhi kuchh naghme liye shahr-e-nawa mein aae hain
hum KHas-o-KHashak aawara guzargahon ka bojh
raqs karne tere kuche ki hawa mein aae hain
ye fishaar-e-gard-o-zulmat ye KHarosh-e-abr-o-baad
aap hi ka dil hai milne is faza mein aae hain
tujh se mil kar sab se ab daman chhuDa lenge magar
sath jin kanTon ke hum rah-e-wafa mein aae hain
sharm ke kuchh phul le kar kuchh nadamat ke guhar
tere parwarda teri daulat-sara mein aae hain
ab tak aankhon ki nami ka silsila TuTa nahin
kuchh ghubar aise hi ji par ibtida mein aae hain
aaj hi dekhe the armanon ke KHwab aur aaj hi
kuchh nae halqe nazar zanjir-e-pa mein aae hain
Source: Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 41) Author : Mehshar Badayuni Publication : Alhamd Publication, Lahore (2012) Edition : 2012
Leave a comment