koī na chāhne vaalā thā husn-e-rusvā kā
dayār-e-ġham meñ rahā dil ko paas duniyā kā
fareb-e-sub.h-e-bahārāñ bhī hai qubūl hameñ
koī naqīb to aayā payām-e-fardā kā
ham aaj rāh-e-tamannā meñ jī ko haar aa.e
na dard-o-ġham kā bharosā rahā na duniyā kā
tirī vafā ne diyā dars-e-āgahī ham ko
tire junūñ ne kiyā kaam chashm-e-bīnā kā
ulajh ke rah ga.ī har taan se navā-e-sarosh
tilism TuuT gayā husn-e-naġhma-pairā kā
shab-e-firāq meñ taare gine to niiñd aa.ī
ye haal ho gayā āḳhir tumhāre shaidā kā
'vahīd' garmī-e-andesha ne ġhazab Dhāyā
sulag rahā hai abhī haath ḳhāma-farsā kā
koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka
dayar-e-gham mein raha dil ko pas duniya ka
fareb-e-subh-e-bahaaran bhi hai qubul hamein
koi naqib to aaya payam-e-farda ka
hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
teri wafa ne diya dars-e-agahi hum ko
tere junun ne kiya kaam chashm-e-bina ka
ulajh ke rah gai har tan se nawa-e-sarosh
tilism TuT gaya husn-e-naghma-paira ka
shab-e-firaq mein tare gine to nind aai
ye haal ho gaya aaKHir tumhaare shaida ka
'wahid' garmi-e-andesha ne ghazab Dhaya
sulag raha hai abhi hath KHama-farsa ka
Source: Deewan-e-Baqa
Leave a comment