Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


kiran to ghar ke andar aa gai thi


kiran to ghar ke andar aa ga.ī thī
sunahrī dhuup kyuuñ kajlā ga.ī thī

kuchh aisī be-hisī se pesh aayā
ki merī be-kasī sharmā ga.ī thī

chhanākā to mire andar huā thā
tirī āvāz kyuuñ bharrā ga.ī thī

vahī rishte vahī naate vahī ġham
badan se ruuh tak uktā ga.ī thī

janam pā kar janam paayā na maiñ ne
mujhe lafzoñ kī nāgan khā ga.ī thī

thakan meñ Dhal gayā lahja kisī kā
mirī ḳhvāhish ko bhī niiñd aa ga.ī thī

vo chiñgārī huā bāñheñ bikhere
lipaT kar mujh ko bhī jhulsā ga.ī thī

vo kab andar thā jo bāhar na aayā
'najīb' ik baat kyā samjhā ga.ī thī

kiran to ghar ke andar aa gai thi
sunahri dhup kyun kajla gai thi

kuchh aisi be-hisi se pesh aaya
ki meri be-kasi sharma gai thi

chhanaka to mere andar hua tha
teri aawaz kyun bharra gai thi

wahi rishte wahi nate wahi gham
badan se ruh tak ukta gai thi

janam pa kar janam paya na main ne
mujhe lafzon ki nagan kha gai thi

thakan mein Dhal gaya lahja kisi ka
meri KHwahish ko bhi nind aa gai thi

wo chingari hua banhen bikhere
lipaT kar mujh ko bhi jhulsa gai thi

wo kab andar tha jo bahar na aaya
'najib' ek baat kya samjha gai thi


Source: Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 83) Author : Mahir Abdul Hayee Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+