Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


himmat-e-iltija nahin baqi


himmat-e-iltijā nahīñ baaqī
zabt kā hausla nahīñ baaqī

ik tirī diid chhin ga.ī mujh se
varna duniyā meñ kyā nahīñ baaqī

apnī mashq-e-sitam se haath na khīñch
maiñ nahīñ yā vafā nahīñ baaqī

terī chashm-e-alam-navāz kī ḳhair
dil meñ koī gilā nahīñ baaqī

ho chukā ḳhatm ahd-e-hijr-o-visāl
zindagī meñ mazā nahīñ baaqī

himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ek teri did chhin gai mujh se
warna duniya mein kya nahin baqi

apni mashq-e-sitam se hath na khinch
main nahin ya wafa nahin baqi

teri chashm-e-alam-nawaz ki KHair
dil mein koi gila nahin baqi

ho chuka KHatm ahd-e-hijr-o-visal
zindagi mein maza nahin baqi

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube ali baksh zahoor Ghulam Ali

Leave a comment

+