Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Inayati

  • Ghazal


aaj tak daman na bhiga tha bhigona paD gaya


aaj tak dāman na bhīgā thā bhigonā paḌ gayā
kis ne kis kā saath chhoḌā hai ki ronā paḌ gayā

dard kā har ek ke ehsās kāñTā hī sahī
ye vo kāñTā hai jise dil meñ chubhonā paḌ gayā

haath jab aa.ī nahīñ manzil to jī ghabrā uThā
aur kuchh bhaTke huoñ ke saath honā paḌ gayā

raushnī kuchh yuuñ ghuTTī tanhā.ī kuchh aisī baḌhī
apne saa.e ko bhī tārīkī meñ ronā paḌ gayā

sahte sahte ġham pe ġham aadī ġhamoñ ke ho ga.e
karvaToñ par karvaTeñ badlīñ to sonā paḌ gayā

sunte the 'mahshar' kabhī patthar bhī ho jaatā hai mom
aaj vo aa.e to palkoñ ko bhigonā paḌ gayā

aaj tak daman na bhiga tha bhigona paD gaya
kis ne kis ka sath chhoDa hai ki rona paD gaya

dard ka har ek ke ehsas kanTa hi sahi
ye wo kanTa hai jise dil mein chubhona paD gaya

hath jab aai nahin manzil to ji ghabra uTha
aur kuchh bhaTke huon ke sath hona paD gaya

raushni kuchh yun ghuTTi tanhai kuchh aisi baDhi
apne sae ko bhi tariki mein rona paD gaya

sahte sahte gham pe gham aadi ghamon ke ho gae
karwaTon par karwaTen badlin to sona paD gaya

sunte the 'mahshar' kabhi patthar bhi ho jata hai mom
aaj wo aae to palkon ko bhigona paD gaya


Source: Sada-e-mosam-e-gul

Leave a comment

+