Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Darshan Singh

  • Ghazal


gham-e-hayat pe KHandan hain tere diwane


ġham-e-hayāt pe ḳhandāñ haiñ tere dīvāne
ajiib sāhab-e-irfāñ haiñ tere dīvāne

har ek zarra-e-sahrā hai ā.īna-ḳhāna
hujūm-e-jalva se hairāñ haiñ tere dīvāne dīvāne

na apne hosh kī parvā na apne dard kā fikr
ġham-e-zamīñ se pareshāñ haiñ tere dīvāne

kahāñ ye hosh ki auroñ kī zindagī pe hañseñ
ḳhud apne haal pe ḳhandāñ haiñ tere dīvāne

hujūm-e-ashk meñ chhalkā rahe haiñ paimāna
harīf-e-gardish-e-daurāñ haiñ tere dīvāne

bahār aate hī kyā jaane un pe kyā guzrī
ki ḳhud se dast-o-garebāñ haiñ tere dīvāne

kabhī to ik nigah-e-jāñ-navāz ho jaa.e
hanūz kushta-e-armāñ haiñ tere dīvāne

nishāt-o-dard meñ dekhā hai maiñ ne 'darshan' ko
har ek haal meñ shādāñ haiñ tere dīvāne

gham-e-hayat pe KHandan hain tere diwane
ajib sahab-e-irfan hain tere diwane

har ek zarra-e-sahra hai aaina-KHana
hujum-e-jalwa se hairan hain tere diwane diwane

na apne hosh ki parwa na apne dard ka fikr
gham-e-zamin se pareshan hain tere diwane

kahan ye hosh ki auron ki zindagi pe hansen
KHud apne haal pe KHandan hain tere diwane

hujum-e-ashk mein chhalka rahe hain paimana
harif-e-gardish-e-dauran hain tere diwane

bahaar aate hi kya jaane un pe kya guzri
ki KHud se dast-o-gareban hain tere diwane

kabhi to ek nigah-e-jaan-nawaz ho jae
hanuz kushta-e-arman hain tere diwane

nishat-o-dard mein dekha hai main ne 'darshan' ko
har ek haal mein shadan hain tere diwane


Leave a comment

+