Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz


haa.e laayā na koī qāsid-e-dilbar kāġhaz
ho gayā ġham se hamārā tan-e-lāġhar kāġhaz

nāma-e-yār ke likhne ko mujhe arzāñ hai
tol de gar koī sone ke barābar kāġhaz

yuuñ lifāfe meñ hamārā hai kalām-e-shīrīñ
jis tarah bāñdhte haiñ qand ke uupar kāġhaz

nā-tavānī se nahīñ hai mujhe mumkin harakat
maiñ huuñ harfoñ kī tarah merā hai bistar kāġhaz

haal likkhā hai jo maiñ ne badan-e-lāġhar kā
le uḌā tinke kī mānind kabūtar kāġhaz

maiñ ne likhā hai jo apnā ye musībat-nāma
mohr karne ko karūñ ashk se ab tar kāġhaz

mere naame ko agar dast-e-hinā.ī meñ vo le
varaq-e-gul se bhī ho rañg meñ behtar kāġhaz

hāl-e-soz-e-ġham-e-furqat karūñ tahrīr to ho
kabk kī choñch qalam baal samundar kāġhaz

is qadar misl-e-qalam maiñ ne jabīñ-sā.ī kī
ban gayā ghis ke dar-e-yār kā patthar kāġhaz

yaar ne ḳhat meñ jo likkhā hai ki na aanā hargiz
ho gayā mere liye sadd-e-sikandar kāġhaz

saath naame ke ga.ī jaan bhī sū-e-jānāñ
ho gayā tā.ir-e-jāñ ke liye shahpar kāġhaz

nahīñ tohfa ḳhat-e-jānāñ ke barābar koī
hai mujhe qand-o-zaqan se kahīñ behtar kāġhaz

jā-e-jarrāh ki ab nāma-bar aa pahuñchā hai
badle phāhe ke rakhūñ dāġh-e-jigar par kāġhaz

kyā maiñ iflās meñ ḳhat yaar ko likkhūñ 'nāsiḳh'
na qalam hai na siyāhī na mayassar kāġhaz

hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz
ho gaya gham se hamara tan-e-laghar kaghaz

nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai
tol de gar koi sone ke barabar kaghaz

yun lifafe mein hamara hai kalam-e-shirin
jis tarah bandhte hain qand ke upar kaghaz

na-tawani se nahin hai mujhe mumkin harakat
main hun harfon ki tarah mera hai bistar kaghaz

haal likkha hai jo main ne badan-e-laghar ka
le uDa tinke ki manind kabutar kaghaz

main ne likha hai jo apna ye musibat-nama
mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghaz

mere name ko agar dast-e-hinai mein wo le
waraq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaghaz

haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho
kabk ki chonch qalam baal samundar kaghaz

is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki
ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghaz

yar ne KHat mein jo likkha hai ki na aana hargiz
ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghaz

sath name ke gai jaan bhi su-e-jaanan
ho gaya tair-e-jaan ke liye shahpar kaghaz

nahin tohfa KHat-e-jaanan ke barabar koi
hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghaz

ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai
badle phahe ke rakhun dagh-e-jigar par kaghaz

kya main iflas mein KHat yar ko likkhun 'nasiKH'
na qalam hai na siyahi na mayassar kaghaz


Source: Book : Tez Hawa ke Jhonke (Pg. 25) Author : Zafar Ansari Zafar Publication : Maktaba Jamia , Jamia Nagar, New Delhi (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+