Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


raKHt-e-gurez gam se aage ki baat hai


raḳht-e-gurez gaam se aage kī baat hai
duniyā, faqat qayām se aage kī baat hai

tū rāste bichhā na charāġhoñ se lau tarāsh
ye ishq ehtimām se aage kī baat hai

in pattharoñ ke saath kabhī rah ke dekhiye
ye ḳhāmushī kalām se aage kī baat hai

maiñ ne adū ke ḳheme meñ bhejā hai ik charāġh
ye ain intiqām se aage kī baat hai

tū āb-o-gil se jism banā, ism mat sikhā
'bābar' ye tere kaam se aage kī baat hai

raKHt-e-gurez gam se aage ki baat hai
duniya, faqat qayam se aage ki baat hai

tu raste bichha na charaghon se lau tarash
ye ishq ehtimam se aage ki baat hai

in pattharon ke sath kabhi rah ke dekhiye
ye KHamushi kalam se aage ki baat hai

main ne adu ke KHeme mein bheja hai ek charagh
ye ain intiqam se aage ki baat hai

tu aab-o-gil se jism bana, ism mat sikha
'babar' ye tere kaam se aage ki baat hai


Leave a comment

+