Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashir Zaidi Aseer

  • Ghazal


yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi


yuuñ khul gayā hai rāz-e-shikast-e-talab kabhī
āñkhoñ se bah gayā hai lahū be-sabab kabhī

vīrāniyoñ ne thaam liyā dāman-e-hayāt
ham log bhī the ḳhanda-e-bazm-e-tarab kabhī

jo log aaj zīnat-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl haiñ
rahte the saath saath mire roz-o-shab kabhī

āvāra aaj sūrat-e-barg-e-ḳhizāñ mile
miltī thī jin se bād-e-sabā bā-adab kabhī

ek ek samt jin ko bagūle uḌā ga.e
yakjā na ho sakeñge vo aurāq ab kabhī

tark-e-ta.alluqāt hai phir bhī ThiThuk ga.e
guzre haiñ mere paas se ho kar vo jab kabhī

mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizār de
aa jaa.e kuchh ḳhayāl use kyā ajab kabhī

yun khul gaya hai raaz-e-shikast-e-talab kabhi
aankhon se bah gaya hai lahu be-sabab kabhi

viraniyon ne tham liya daman-e-hayat
hum log bhi the KHanda-e-bazm-e-tarab kabhi

jo log aaj zinat-e-KHwab-o-KHayal hain
rahte the sath sath mere roz-o-shab kabhi

aawara aaj surat-e-barg-e-KHizan mile
milti thi jin se baad-e-saba ba-adab kabhi

ek ek samt jin ko bagule uDa gae
yakja na ho sakenge wo auraq ab kabhi

tark-e-talluqat hai phir bhi ThiThuk gae
guzre hain mere pas se ho kar wo jab kabhi

mohlat kuchh aur kashmakash-e-intizar de
aa jae kuchh KHayal use kya ajab kabhi


Source: Book : sheerazah (Pg. 117) Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973) Edition : 1973

Leave a comment

+