Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Karnatki

  • Ghazal


aql se kaam kar


aql se kaam kar
dahr meñ naam kar

maiñ ne dekhā use
apnā dil thaam kar

qaum kā ho bhalā
aisā iqdām kar

apnā har ranj-o-ġham
tū mire naam kar

zindagī hai yahī
sub.h se shaam kar

mol apnā baḌhā
mujh ko be-dām kar

der 'hāfiz' na ho
jald har kaam kar

aql se kaam kar
dahr mein nam kar

main ne dekha use
apna dil tham kar

qaum ka ho bhala
aisa iqdam kar

apna har ranj-o-gham
tu mere nam kar

zindagi hai yahi
subh se sham kar

mol apna baDha
mujh ko be-dam kar

der 'hafiz' na ho
jald har kaam kar


Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 124) Publication : Raghu Nath suhai ummid

Leave a comment

+