ḳhvāb buntā rahūñ maiñ bistar par
aur takiya karūñ muqaddar par
mhv-e-parvāz hai ye dil aur maiñ
jaañ chhiḌaktā huuñ is kabūtar par
umr-bhar dekhte rahe saa.e
dhuup paḌtī rahī mire sar par
ḳhud se mushkil huā suḳhan karnā
vaqt vo aa paḌā suḳhan-var par
niiñd uḌne lagī hai āñkhoñ se
dhuul jamne lagī hai bistar par
ḳhaak hone se pesh-tar 'ġhā.er'
naqsh ho jā.ūñ kyuuñ na patthar par
KHwab bunta rahun main bistar par
aur takiya karun muqaddar par
mhw-e-parwaz hai ye dil aur main
jaan chhiDakta hun is kabutar par
umr-bhar dekhte rahe sae
dhup paDti rahi mere sar par
KHud se mushkil hua suKHan karna
waqt wo aa paDa suKHan-war par
nind uDne lagi hai aankhon se
dhul jamne lagi hai bistar par
KHak hone se pesh-tar 'ghaer'
naqsh ho jaun kyun na patthar par
Leave a comment