Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mah Talat Zahidi

  • Ghazal


tum bin waqt ye kaisa guzra


tum bin vaqt ye kaisā guzrā
ashkoñ kā ik dariyā guzrā

merā hī ghar bhuul gayā thā
bādal qarya qarya guzrā

kaaT gayā thā ziist kā dhārā
kahne ko ik lamha guzrā

chīḳh thī dil kī lai meñ Dhal kar
jaise koī naġhma guzrā

ḳhuun hai jin āñkhoñ se jaarī
un meñ bhī ik sapnā guzrā

ḳhush rahne kā ḳhaak jatan ho
dil par bhārī sadma guzrā

roz hī log bichhaḌ jaate haiñ
aah magar ik apnā guzrā

jān-e-mahfil thā jo kabhī vo
kaisā tanhā tanhā guzrā

tum bin waqt ye kaisa guzra
ashkon ka ek dariya guzra

mera hi ghar bhul gaya tha
baadal qarya qarya guzra

kaT gaya tha zist ka dhaara
kahne ko ek lamha guzra

chiKH thi dil ki lai mein Dhal kar
jaise koi naghma guzra

KHun hai jin aankhon se jari
un mein bhi ek sapna guzra

KHush rahne ka KHak jatan ho
dil par bhaari sadma guzra

roz hi log bichhaD jate hain
aah magar ek apna guzra

jaan-e-mahfil tha jo kabhi wo
kaisa tanha tanha guzra


Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 67)

Leave a comment

+