Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kashif Husain Ghair

  • Ghazal


har gam badalte rahe manzar mere aage


har gaam badalte rahe manzar mire aage
chaltā hī rahā koī barābar mire aage

kyā ḳhaak mirī ḳhaak meñ imkān ho paidā
nāpaid haiñ maujūd-o-mayassar mire aage

yuuñ dekhne vāloñ ko nazar aatā huuñ pīchhe
rahtā hai masāfat meñ mirā ghar mire aage

rakhtī hai ajab paas mirī tishna-labī kā
so mauj uThātī hī nahīñ sar mire aage

hañstā hī rahā maiñ dar-o-dīvār pe apne
rotā hī rahā merā muqaddar mire aage

kal raat jagātī rahī ik ḳhvāb kī duurī
aur niiñd bichhātī rahī bistar mire aage

vāqif hī nahīñ koī in āñkhoñ kī ravish se
kam kam jo khulā kartī haiñ aksar mire aage

dekhe hī nahīñ maiñ ne kabhī aañkh meñ aañsū
pahnā hī nahīñ us ne ye zevar mire aage

'ġhā.er' maiñ ka.ī roz se ḳhāmosh huuñ aisā
goyā nazar aate haiñ ye patthar mire aage

har gam badalte rahe manzar mere aage
chalta hi raha koi barabar mere aage

kya KHak meri KHak mein imkan ho paida
napaid hain maujud-o-mayassar mere aage

yun dekhne walon ko nazar aata hun pichhe
rahta hai masafat mein mera ghar mere aage

rakhti hai ajab pas meri tishna-labi ka
so mauj uThati hi nahin sar mere aage

hansta hi raha main dar-o-diwar pe apne
rota hi raha mera muqaddar mere aage

kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri
aur nind bichhati rahi bistar mere aage

waqif hi nahin koi in aankhon ki rawish se
kam kam jo khula karti hain aksar mere aage

dekhe hi nahin main ne kabhi aankh mein aansu
pahna hi nahin us ne ye zewar mere aage

'ghaer' main kai roz se KHamosh hun aisa
goya nazar aate hain ye patthar mere aage


Source: Intikhab Apna Apna

Leave a comment

+