Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagat Mohan Lal Ravan

  • Ghazal


wo KHush ho ke mujhse KHafa ho gaya


vo ḳhush ho ke mujh se ḳhafā ho gayā
mujhe kyā umīdeñ thiiñ kyā ho gayā

naved-e-shafā chārasāzoñ ko do
maraz ab mirā lā-davā ho gayā

kisī ġhair se kyā tavaqqo ki jab
mirā dil hī dushman mirā ho gayā

kahāñ se kahāñ laa.ī qismat mirī
kis aafat meñ maiñ mubtalā ho gayā

maiñ yakjā hī kartā thā apne havās
ki un se mirā sāmnā ho gayā

'ravāñ' tū kahāñ aur kahāñ dard-e-ishq
tujhe kyā ye mard-e-ḳhudā ho gayā

wo KHush ho ke mujh se KHafa ho gaya
mujhe kya umiden thin kya ho gaya

nawed-e-shafa chaarasazon ko do
maraz ab mera la-dawa ho gaya

kisi ghair se kya tawaqqo ki jab
mera dil hi dushman mera ho gaya

kahan se kahan lai qismat meri
kis aafat mein main mubtala ho gaya

main yakja hi karta tha apne hawas
ki un se mera samna ho gaya

'rawan' tu kahan aur kahan dard-e-ishq
tujhe kya ye mard-e-KHuda ho gaya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 wo KHush ho ke mujhse KHafa ho gaya Nomaan Shauque

Leave a comment

+