tere dīvāne ne dīvār meñ dar kholā hai
sar-e-aflāk nayā bāb-e-qamar kholā hai
Dhal gayā din bhī vahīñ raat ne Derā Daalā
thak ke rahrav ne jahāñ raḳht-e-safar kholā hai
mere chup rahne pe bhī baat vahāñ tak pahuñchī
rāz-e-dil tū ne magar dīda-e-tar kholā hai
ham kabhī tah se samundar ke haiñ motī laa.e
kabhī parcham sar-e-mah sīna-sipar kholā hai
dar-e-shabnam mah-o-anjum haiñ kabhī jalva-farosh
kis ne ganjīna ye har shām-o-sahar kholā hai
kohkan ban ke kabhī ham ne ba-rañg-e-majnūñ
ishq kā baab ba-andāz-e-digar kholā hai
hasad-o-hirs-o-havas aise ka.ī chor mile
maiñ ne chup-chāp kabhī apnā jo ghar kholā hai
saikḌoñ ḳhvāhishoñ kī nāgineñ Dasne ko baḌhīñ
ham ne jab bhī dar-e-ganjīna-e-zar kholā hai
jis ko dekho vahī vārafta-e-manzil hai yahāñ
vaah kyā maktaba-e-fikr-o-nazar kholā hai
kis ko fursat jo sune terī kahānī 'māhir'
daftar ik shikvoñ kā ye tū ne magar kholā hai
tere diwane ne diwar mein dar khola hai
sar-e-aflak naya bab-e-qamar khola hai
Dhal gaya din bhi wahin raat ne Dera Dala
thak ke rahraw ne jahan raKHt-e-safar khola hai
mere chup rahne pe bhi baat wahan tak pahunchi
raaz-e-dil tu ne magar dida-e-tar khola hai
hum kabhi tah se samundar ke hain moti lae
kabhi parcham sar-e-mah sina-sipar khola hai
dar-e-shabnam mah-o-anjum hain kabhi jalwa-farosh
kis ne ganjina ye har sham-o-sahar khola hai
kohkan ban ke kabhi hum ne ba-rang-e-majnun
ishq ka bab ba-andaz-e-digar khola hai
hasad-o-hirs-o-hawas aise kai chor mile
main ne chup-chap kabhi apna jo ghar khola hai
saikDon KHwahishon ki naginen Dasne ko baDhin
hum ne jab bhi dar-e-ganjina-e-zar khola hai
jis ko dekho wahi warafta-e-manzil hai yahan
wah kya maktaba-e-fikr-o-nazar khola hai
kis ko fursat jo sune teri kahani 'mahir'
daftar ek shikwon ka ye tu ne magar khola hai
Leave a comment