dil akelā hī nahīñ raqs meñ jaañ raqs meñ hai
ham agar raqs meñ haiñ saarā jahāñ raqs meñ hai
hairat-e-ā.ina tanhā na yahāñ raqs meñ hai
jaane kyā dekh liyā dil ne ki jaañ raqs meñ hai
chashm-e-sāqī meñ hai jis din se mirā shīsha-e-dil
ālam-e-kār-gah-e-shīsha-garāñ raqs meñ hai
jab se us naam kā aayā hai adā kar lenā
kaun jaane ye haqīqat ki zabāñ raqs meñ hai
ai 'dil' is bārgah-e-husn meñ huuñ jab se muqīm
ishq shāyad ki mirī tab-e-ravāñ raqs meñ hai
dil akela hi nahin raqs mein jaan raqs mein hai
hum agar raqs mein hain sara jahan raqs mein hai
hairat-e-aina tanha na yahan raqs mein hai
jaane kya dekh liya dil ne ki jaan raqs mein hai
chashm-e-saqi mein hai jis din se mera shisha-e-dil
aalam-e-kar-gah-e-shisha-garan raqs mein hai
jab se us nam ka aaya hai ada kar lena
kaun jaane ye haqiqat ki zaban raqs mein hai
ai 'dil' is bargah-e-husn mein hun jab se muqim
ishq shayad ki meri tab-e-rawan raqs mein hai
Leave a comment