Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


aankh pe paTTi bandh ke mujhko tanha chhoD diya hai


aañkh pe paTTī bāñdh ke mujh ko tanhā chhoḌ diyā hai
ye kis ne sahrā meñ lā kar sahrā chhoḌ diyā hai

jism kī borī se bāhar bhī kabhī nikal ā.ūñgā
abhī to is par ḳhush huuñ us ne zinda chhoḌ diyā hai

zehn mirā āzād hai lekin dil kā dil muTThī meñ
aadhā us ne qaid rakhā hai aadhā chhoḌ diyā hai

jahāñ duā miltī thī allāh joḌī salāmat rakkhe
maiñ ne tere ba.ad udhar se guzarnā chhoḌ diyā hai

chāroñ shāne chit miTTī par girā paḌā huuñ 'tābish'
jaane kis ne dūsrī jānib rassa chhoḌ diyā hai

aankh pe paTTi bandh ke mujh ko tanha chhoD diya hai
ye kis ne sahra mein la kar sahra chhoD diya hai

jism ki bori se bahar bhi kabhi nikal aaunga
abhi to is par KHush hun us ne zinda chhoD diya hai

zehn mera aazad hai lekin dil ka dil muTThi mein
aadha us ne qaid rakha hai aadha chhoD diya hai

jahan dua milti thi allah joDi salamat rakkhe
main ne tere baad udhar se guzarna chhoD diya hai

chaaron shane chit miTTi par gira paDa hun 'tabish'
jaane kis ne dusri jaanib rassa chhoD diya hai


Leave a comment

+