Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


jab hui KHak to iksir hui hai baba


jab huī ḳhaak to iksīr huī hai baabā
aarzū miTne se tāsīr huī hai baabā

daaġh haiñ qalb-o-jigar chhuT ga.e arbāb-e-vafā
zindagī ab mujhe ta.azīr huī hai baabā

dard hī chāragar aur dard hī darmāñ niklā
dard hī dard kī tadbīr huī hai baabā

koī batlā na sakā tālib-o-mtlūb kā farq
yuuñ tarīqat kī bhī ta.abīr huī hai baabā

karbalā dhuup hai to pyaas hai dariyā-e-furāt
ik sadāqat yūñhī tahrīr huī hai baabā

ḳhaak par sajda ho qātil kī chhurī shah-rag par
har sadā nāra-e-takbīr huī hai baabā

nok neza pe koī boltā qur.ān bhī thā
is tarah se kabhī tafsīr huī hai baabā

jab hui KHak to iksir hui hai baba
aarzu miTne se tasir hui hai baba

dagh hain qalb-o-jigar chhuT gae arbab-e-wafa
zindagi ab mujhe tazir hui hai baba

dard hi chaaragar aur dard hi darman nikla
dard hi dard ki tadbir hui hai baba

koi batla na saka talib-o-mtlub ka farq
yun tariqat ki bhi tabir hui hai baba

karbala dhup hai to pyas hai dariya-e-furaat
ek sadaqat yunhi tahrir hui hai baba

KHak par sajda ho qatil ki chhuri shah-rag par
har sada nara-e-takbir hui hai baba

nok neza pe koi bolta quran bhi tha
is tarah se kabhi tafsir hui hai baba


Source: Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 249)

Leave a comment

+