Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Gondvi

  • Ghazal


tujhe baaton mein lana chahta hun


tujhe bātoñ meñ laanā chāhtā huuñ
tirī bātoñ meñ aanā chāhtā huuñ

kisī kā āstāna chāhtā huuñ
kahīñ maiñ sar jhukānā chāhtā huuñ

kisī sūrat bulā le paas mujh ko
maiñ tere paas aanā chāhtā huuñ

junūñ dekho ki un kī hī kahānī
unhī ko maiñ sunānā chāhtā huuñ

mujhe ai rahnumā ab chhoḌ tanhā
maiñ ḳhud ko āzmānā chāhtā huuñ

Thahar jaa.e yūñhī un kā tabassum
Thahar jaa.e zamāna chāhtā huuñ

vo paiham ruuTh jaanā chāhte haiñ
maiñ har sūrat manānā chāhtā huuñ

tujhe baaton mein lana chahta hun
teri baaton mein aana chahta hun

kisi ka aastana chahta hun
kahin main sar jhukana chahta hun

kisi surat bula le pas mujh ko
main tere pas aana chahta hun

junun dekho ki un ki hi kahani
unhi ko main sunana chahta hun

mujhe ai rahnuma ab chhoD tanha
main KHud ko aazmana chahta hun

Thahar jae yunhi un ka tabassum
Thahar jae zamana chahta hun

wo paiham ruTh jaana chahte hain
main har surat manana chahta hun


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+