Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pratap Somvanshi

  • Ghazal


riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain


riyāsat jab bhī Dahtī hai navāse dukh uThāte haiñ
kahīñ puncture banāte haiñ kahīñ Tāñga chalāte haiñ

baḌī mushkil se ye do vaqt kī roTī kamāte haiñ
sahar se shaam tak fōtpath par qismat banāte haiñ

jamūrā sar khujātā hai madārī haath maltā hai
tamāshā dekh kar bad-ma.āsh bachche bhaag jaate haiñ

kisī ke saath rahnā aur us se bach ke rah lenā
ḳhudā hī jaane kaise log ye rishta nibhāte haiñ

hazāroñ log milte haiñ to un meñ ik samajhtā hai
baḌī mushkil se ham bhī dostī meñ sar jhukāte haiñ

riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain
kahin puncture banate hain kahin Tanga chalate hain

baDi mushkil se ye do waqt ki roTi kamate hain
sahar se sham tak footpath par qismat banate hain

jamura sar khujata hai madari hath malta hai
tamasha dekh kar bad-maash bachche bhag jate hain

kisi ke sath rahna aur us se bach ke rah lena
KHuda hi jaane kaise log ye rishta nibhate hain

hazaron log milte hain to un mein ek samajhta hai
baDi mushkil se hum bhi dosti mein sar jhukate hain


Source: Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 81)

Leave a comment

+