tere kūche kī huā lag ga.ī shāyad us ko
roz be-par kī uḌātā hai kabūtar ham se
ham sulaimān baneñge jo parī hoge tum
hosh meñ aao kahāñ jāoge uḌ kar ham se
gāliyāñ kaun sune jab na rahā kuchh matlab
aaj se kījiyegā baat samajh kar ham se
ham kisī aur ko tākeñge tumhāre hote
kyā kahā phir to kaho aañkh milā kar ham se
aap ho jā.eñge sīdhe kahīñ din hoñ sīdhe
vo bhī TeḌhe haiñ jo TeḌhā hai muqaddar ham se
vo bhī kyā din the ki jab rahtī thiiñ nīchī nazreñ
chaar āñkheñ jo huiiñ phir ga.e tevar ham se
tere kuche ki hua lag gai shayad us ko
roz be-par ki uData hai kabutar hum se
hum sulaiman banenge jo pari hoge tum
hosh mein aao kahan jaoge uD kar hum se
galiyan kaun sune jab na raha kuchh matlab
aaj se kijiyega baat samajh kar hum se
hum kisi aur ko takenge tumhaare hote
kya kaha phir to kaho aankh mila kar hum se
aap ho jaenge sidhe kahin din hon sidhe
wo bhi TeDhe hain jo TeDha hai muqaddar hum se
wo bhi kya din the ki jab rahti thin nichi nazren
chaar aankhen jo huin phir gae tewar hum se
Source: Book : Shora-e-London (Pg. 26) Author : Jauhar Zahiri Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985) Edition : 1985
Leave a comment