Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jabbar Wasif

  • Ghazal


jo nabaatat-o-jamadat pe shak karte hain


jo nabātāt-o-jamādāt pe shak karte haiñ
ai ḳhudā tere kamālāt pe shak karte haiñ

vo jo kahte haiñ dhamāke se jahāñ ḳhalq huā
dar-haqīqat vo samāvāt pe shak karte haiñ

maiñ bhī bachpan meñ tafakkur pe yaqīñ rakhtā thā
mere bachche bhī rivāyāt pe shak karte haiñ

maiñ isī shahr meñ aañsū liye phirtā huuñ jahāñ
peḌ chiḌiyoñ kī munājāt pe shak karte haiñ

apne hisse meñ vo be-faiz sadī hai jis meñ
log valiyoñ kī karāmāt pe shak karte haiñ

is liye ham pe guzartī hai qayāmat har din
ham qayāmat kī alāmāt pe shak karte haiñ

aap ke khet meñ ugtī hai sunahrī gandum
aap kyoñ us kī ināyāt pe shak karte haiñ

jin ko muusā kā patā hai na ḳhabar tuur kī hai
aise bad-baḳht bhī taurāt pe shak karte haiñ

ishq kī ain kā to dasht meñ madfan hī nahīñ
āshiqāñ yūñhī ḳharābāt pe shak karte haiñ

aap jharnoñ kī tilāvat ko nahīñ sun sakte
aap fitrat ke ishārāt pe shak karte haiñ

sirf shā.ir hī nahīñ huuñ maiñ musalmān bhī huuñ
aap kyoñ merī ibādāt pe shak karte haiñ

aap ko chāhiye suqrāt ke baare meñ paḌheñ
aap 'vāsif' ke ḳhayālāt pe shak karte haiñ

jo nabaatat-o-jamadat pe shak karte hain
ai KHuda tere kamalat pe shak karte hain

wo jo kahte hain dhamake se jahan KHalq hua
dar-haqiqat wo samawat pe shak karte hain

main bhi bachpan mein tafakkur pe yaqin rakhta tha
mere bachche bhi riwayat pe shak karte hain

main isi shahr mein aansu liye phirta hun jahan
peD chiDiyon ki munajat pe shak karte hain

apne hisse mein wo be-faiz sadi hai jis mein
log waliyon ki karamat pe shak karte hain

is liye hum pe guzarti hai qayamat har din
hum qayamat ki alamat pe shak karte hain

aap ke khet mein ugti hai sunahri gandum
aap kyon us ki inayat pe shak karte hain

jin ko musa ka pata hai na KHabar tur ki hai
aise bad-baKHt bhi tauraat pe shak karte hain

ishq ki ain ka to dasht mein madfan hi nahin
aashiqan yunhi KHarabaat pe shak karte hain

aap jharnon ki tilawat ko nahin sun sakte
aap fitrat ke ishaaraat pe shak karte hain

sirf shair hi nahin hun main musalman bhi hun
aap kyon meri ibaadat pe shak karte hain

aap ko chahiye suqraat ke bare mein paDhen
aap 'wasif' ke KHayalat pe shak karte hain


Source: Mata-e-Noor

Leave a comment

+