Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vasaf Basit

  • Ghazal


andarun nind ka ek Khaali makan hota tha


andarūñ niiñd kā ik ḳhālī makāñ hotā thā
merī āñkhoñ meñ tirā ḳhvāb nihāñ hotā thā

roz jaate the bahut duur talak ham donoñ
par ye ma.alūm nahīñ hai maiñ kahāñ hotā thā

dasht ke paar bahut duur thī ik ābādī
aur us samt bahut gahrā dhuāñ hotā thā

ḳhauf ke ba.ad bhī vahshat hī nazar aatī thī
vahshatoñ se bhī pare koī jahāñ hotā thā

maiñ kahānī se bahut duur nikal aayā thā
merā kirdār kahīñ aur bayāñ hotā thā

andarun nind ka ek KHali makan hota tha
meri aankhon mein tera KHwab nihan hota tha

roz jate the bahut dur talak hum donon
par ye malum nahin hai main kahan hota tha

dasht ke par bahut dur thi ek aabaadi
aur us samt bahut gahra dhuan hota tha

KHauf ke baad bhi wahshat hi nazar aati thi
wahshaton se bhi pare koi jahan hota tha

main kahani se bahut dur nikal aaya tha
mera kirdar kahin aur bayan hota tha


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+