Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


chhoTe chhoTe se mafadat liye phirte hain


chhoTe chhoTe se mafādāt liye phirte haiñ
dar-ba-dar ḳhud ko jo din raat liye phirte haiñ

apnī majrūh anāoñ ko dilāse de kar
haath meñ kāsa-e-ḳhairāt liye phirte haiñ

shahr meñ ham ne sunā hai ki tire shola-navā
kuchh sulagte hue naġhmāt liye phirte haiñ

muḳhtalif apnī kahānī hai zamāne bhar se
munfarid ham ġham-e-hālāt liye phirte haiñ

ek ham haiñ ki ġham-e-dahr se fursat hī nahīñ
ek vo haiñ ki ġham-e-zāt liye phirte haiñ

chhoTe chhoTe se mafadat liye phirte hain
dar-ba-dar KHud ko jo din raat liye phirte hain

apni majruh anaon ko dilase de kar
hath mein kasa-e-KHairaat liye phirte hain

shahr mein hum ne suna hai ki tere shola-nawa
kuchh sulagte hue naghmat liye phirte hain

muKHtalif apni kahani hai zamane bhar se
munfarid hum gham-e-haalat liye phirte hain

ek hum hain ki gham-e-dahr se fursat hi nahin
ek wo hain ki gham-e-zat liye phirte hain

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+