Subscribe to our newsletter and get our newest updates

M. Usman Shakir

  • Ghazal


mere suKHan ko naya moD dene aaya tha


mire suḳhan ko nayā moḌ dene aayā thā
sahārā de ke mujhe chhoḌ dene aayā thā

ye kyā ajab hai ki māñgī thī ham ne jis se bhiik
vo chāhatoñ kā mahal phoḌ dene aayā thā

maiñ jis ke vāste ab tak azāb-e-jāñ jhelūñ
vo ḳhush-nasīb mujhe toḌ dene aayā thā

kisī ne us ko mohabbat meñ dard baḳhshā thā
vo bevafā.ī mujhe moḌ dene aayā thā

vo jaate jaate mujhe kirchiyoñ meñ baañT gayā
jo kah rahā thā mujhe joḌ dene yā thā

mere suKHan ko naya moD dene aaya tha
sahaara de ke mujhe chhoD dene aaya tha

ye kya ajab hai ki mangi thi hum ne jis se bhik
wo chahaton ka mahal phoD dene aaya tha

main jis ke waste ab tak azab-e-jaan jhelun
wo KHush-nasib mujhe toD dene aaya tha

kisi ne us ko mohabbat mein dard baKHsha tha
wo bewafai mujhe moD dene aaya tha

wo jate jate mujhe kirchiyon mein banT gaya
jo kah raha tha mujhe joD dene ya tha


Source: Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 57) Author : Habib Jalib Publication : Tahir Sons Publishers (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+