Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


kya kahun kya kya gaya jab apna kashana gaya


kyā kahūñ kyā kyā gayā jab apnā kāshāna gayā
ḳhum gayā saaqī gayā aur ham se mai-ḳhāna gayā

ho ga.e kitne hī gum aql-o-ḳhirad kī raah meñ
manzil-e-maqsūd tak to sirf dīvāna gayā

gosha-e-tahzīb meñ bhī ghaat meñ sayyād hai
ab kabhī kā farq-e-ābādī-o-vīrāna gayā

aaj kī is zindagī ke tez-rau tūfān meñ
vaqt-e-zikr-e-sāġhar-o-mīnā-o-paimāna gayā

jiit le qalb-o-jigar qudrat kā ab vo vaqt hai
ab sanam ke jītne kā lutf-e-afsāna gayā

zindagī ne ab tarāshe nau-butān-e-dil-rubā
vo purānā tarz-e-sajda aur but-ḳhāna gayā

ham zamāne ke ruḳh-o-raftār kī bāteñ kareñ
ab vo lutf-e-garmī-e-raftār-e-jānānā gayā

āhan-o-tesha kī hai jhankār naġhma vaqt kā
ho gayā ḳhāmosh mutrib sher-e-rindāna gayā

ḳhair maqdam ham na.e dil se kareñ ab ai 'habīb'
raat guzrī sham.a ruḳhsat aur parvāna gayā

kya kahun kya kya gaya jab apna kashana gaya
KHum gaya saqi gaya aur hum se mai-KHana gaya

ho gae kitne hi gum aql-o-KHirad ki rah mein
manzil-e-maqsud tak to sirf diwana gaya

gosha-e-tahzib mein bhi ghat mein sayyaad hai
ab kabhi ka farq-e-abaadi-o-virana gaya

aaj ki is zindagi ke tez-rau tufan mein
waqt-e-zikr-e-saghar-o-mina-o-paimana gaya

jit le qalb-o-jigar qudrat ka ab wo waqt hai
ab sanam ke jitne ka lutf-e-afsana gaya

zindagi ne ab tarashe nau-butan-e-dil-ruba
wo purana tarz-e-sajda aur but-KHana gaya

hum zamane ke ruKH-o-raftar ki baaten karen
ab wo lutf-e-garmi-e-raftar-e-jaanana gaya

aahan-o-tesha ki hai jhankar naghma waqt ka
ho gaya KHamosh mutrib sher-e-rindana gaya

KHair maqdam hum nae dil se karen ab ai 'habib'
raat guzri shama ruKHsat aur parwana gaya


Source:

Leave a comment

+