Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


bol sakte hain magar baat nahin kar sakte


bol sakte haiñ magar baat nahīñ kar sakte
vaqt aisā hai savālāt nahīñ kar sakte

facebōk kā bhī ta.alluq hai ta.alluq kaisā
dekh sakte haiñ mulāqāt nahīñ kar sakte

itnā gahrā hai yahāñ kunj-e-ḳhurāfāt kā shor
log ab tarfa munājāt nahīñ kar sakte

uḌ to jaa.eñ shajar-e-ḳhām ke zindāñ se ham
dost hai dost se ham haath nahīñ kar sakte

itnā saffāk hai ehsās kā manzar-nāma
log andāza-e-sadmāt nahīñ kar sakte

kyā ye kam sadma hai do tarfa mulāqāt ke beach
bol sakte haiñ magar baat nahīñ kar sakte

bas koī dukh hai jis baar numū karnā hai
jis ko ham rizq-e-ibārāt nahīñ kar sakte

bol sakte hain magar baat nahin kar sakte
waqt aisa hai sawalat nahin kar sakte

facebook ka bhi talluq hai talluq kaisa
dekh sakte hain mulaqat nahin kar sakte

itna gahra hai yahan kunj-e-KHurafat ka shor
log ab tarfa munajat nahin kar sakte

uD to jaen shajar-e-KHam ke zindan se hum
dost hai dost se hum hath nahin kar sakte

itna saffak hai ehsas ka manzar-nama
log andaza-e-sadmat nahin kar sakte

kya ye kam sadma hai do tarfa mulaqat ke beach
bol sakte hain magar baat nahin kar sakte

bas koi dukh hai jis bar numu karna hai
jis ko hum rizq-e-ibaraat nahin kar sakte


Leave a comment

+