dekh laTkā sajan terī laT kā
us kī har mū-ba-mū meñ dil aTkā
āb-e-teġh-e-nigah ke pyāse kuuñ
kam-nigāhī kā maar mat phaTkā
ġhamza terā ajab sipāhī hai
jis kī dahshat suuñ bul-havas saTkā
ishq kā zahr us suuñ kyuuñ tere
naag tujh zulf kā jise chaTkā
musta.id haiñ tere yū mardum-e-chashm
mujh ko abrū kā mārne saT kā
hosh 'dā.ūd' kā huā laT-paT
dekh kar terī naaz kā laTkā
dekh laTka sajan teri laT ka
us ki har mu-ba-mu mein dil aTka
aab-e-tegh-e-nigah ke pyase kun
kam-nigahi ka mar mat phaTka
ghamza tera ajab sipahi hai
jis ki dahshat sun bul-hawas saTka
ishq ka zahr us sun kyun tere
nag tujh zulf ka jise chaTka
mustaid hain tere yu mardum-e-chashm
mujh ko abru ka marne saT ka
hosh 'daud' ka hua laT-paT
dekh kar teri naz ka laTka
Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 21) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009
Leave a comment