Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Bhandari

  • Ghazal


wo hawa ka mizaj rakhte hain


vo havā kā mizāj rakhte haiñ
ham charāġhoñ kī tarah jalte haiñ

us kī qudrat ko dekh kar yaaro
ham bhī īmān us pe rakhte haiñ

jhuum kar to uThe haiñ ye bādal
dekhiye ab kahāñ baraste haiñ

saarī be-rañg soch ke chehre
lafz pahneñ to phir nikharte haiñ

kyā ḳhabar thī hameñ ki logoñ kī
āstīnoñ meñ saañp palte haiñ

wo hawa ka mizaj rakhte hain
hum charaghon ki tarah jalte hain

us ki qudrat ko dekh kar yaro
hum bhi iman us pe rakhte hain

jhum kar to uThe hain ye baadal
dekhiye ab kahan baraste hain

sari be-rang soch ke chehre
lafz pahnen to phir nikharte hain

kya KHabar thi hamein ki logon ki
aastinon mein sanp palte hain


Source: Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 27) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2017) Edition : 2017

Leave a comment

+