mirī ġhazal jo na.e saaz se ibārat hai
mire nafas mirī āvāz se ibārat hai
khaTak rahā hai jo nashtar jarāhat-e-dil meñ
fareb-e-nargis-e-tannāz se ibārat hai
haqīqatoñ ko fasāna banā diyā jis ne
ye sehr bhī tire e.ajāz se ibārat hai
qafas bhī jaise darīcha hai dil ke zindāñ kā
nafas bhī lazzat-e-parvāz se ibārat hai
mire lahū kī ye gardish usī kā jaadū hai
ye harf-e-dil jo tire raaz se ibārat hai
jahān-o-jāñ kā sitam aarzū kā lutf-o-karam
tirī adā se tire naaz se ibārat hai
na aa sakā mire ash.ār meñ 'salīm' kā rañg
jo us ke munfarid andāz se ibārat hai
meri ghazal jo nae saz se ibarat hai
mere nafas meri aawaz se ibarat hai
khaTak raha hai jo nashtar jarahat-e-dil mein
fareb-e-nargis-e-tannaz se ibarat hai
haqiqaton ko fasana bana diya jis ne
ye sehr bhi tere eajaz se ibarat hai
qafas bhi jaise daricha hai dil ke zindan ka
nafas bhi lazzat-e-parwaz se ibarat hai
mere lahu ki ye gardish usi ka jadu hai
ye harf-e-dil jo tere raaz se ibarat hai
jahan-o-jaan ka sitam aarzu ka lutf-o-karam
teri ada se tere naz se ibarat hai
na aa saka mere ashaar mein 'salim' ka rang
jo us ke munfarid andaz se ibarat hai
Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 532) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 ) Edition : 1967
Leave a comment