Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


saya qadam qadam pe hai har raushni ke sath


saaya qadam qadam pe hai har raushnī ke saath
sub.heñ chhupī haiñ parde meñ har tīrgī ke saath

āsān kar dī tere tasavvur ne manzileñ
guzre rah-e-hayāt se ham be-ḳhudī ke saath

sajde dil-o-nazar ke to har jā bikhar ga.e
dair-o-haram kā kaam hī kyā bandagī ke saath

ik dard thā ki bazm se le kar terī chale
dil yaañ ki vaañ luTā ke chale ham ḳhushī ke saath

terī nigāh-e-nāz ke qurbān jā.iye
lapkā hai dil meñ sho.ala magar dilkashī ke saath

terī talab meñ dār-o-rasan se guzar ga.e
khelā hai ham ne khel koī zindagī ke saath

sāġhar meñ apnī āñkhoñ kī mastī bhī ghol de
mai bhī do-ātishāñ ho tirī dilbarī ke saath

fitne se kam nahīñ hai bigaḌnā tirā magar
nikhrā hai husn aur bhī kuchh barhamī ke saath

apnā banā ke yuuñ mujhe chhoḌā hai raah meñ
do-gām jaise koī chale ajnabī ke saath

ai shikva-sanj terā hī dāman nahīñ vasī.a
kyā ne.amateñ 'habīb' milīñ zindagī ke saath

saya qadam qadam pe hai har raushni ke sath
subhen chhupi hain parde mein har tirgi ke sath

aasan kar di tere tasawwur ne manzilen
guzre rah-e-hayat se hum be-KHudi ke sath

sajde dil-o-nazar ke to har ja bikhar gae
dair-o-haram ka kaam hi kya bandagi ke sath

ek dard tha ki bazm se le kar teri chale
dil yan ki wan luTa ke chale hum KHushi ke sath

teri nigah-e-naz ke qurban jaiye
lapka hai dil mein shoala magar dilkashi ke sath

teri talab mein dar-o-rasan se guzar gae
khela hai hum ne khel koi zindagi ke sath

saghar mein apni aankhon ki masti bhi ghol de
mai bhi do-atishan ho teri dilbari ke sath

fitne se kam nahin hai bigaDna tera magar
nikhra hai husn aur bhi kuchh barhami ke sath

apna bana ke yun mujhe chhoDa hai rah mein
do-gam jaise koi chale ajnabi ke sath

ai shikwa-sanj tera hi daman nahin wasia
kya neamaten 'habib' milin zindagi ke sath


Source: Aab-e-Baqa

Leave a comment

+