log laḌte rahe naam aa.e talab-gāroñ meñ
ham ki chup-chāp khaḌe the tire bīmāroñ meñ
zulm ke ham haiñ muḳhālif magar ik din ke liye
shor har roz nayā uThtā hai aḳhbāroñ meñ
āj-kal shikva-e-nāpaid hai jis ġhairat kā
ḳhuub biktī hai mire shahr ke bāzāroñ meñ
faḳhr kyā kam hai ki nīlāmī-e-yūsuf meñ 'na.īm'
tahī-dāmāñ the magar the to ḳharīdāroñ meñ
log laDte rahe nam aae talab-garon mein
hum ki chup-chap khaDe the tere bimaron mein
zulm ke hum hain muKHalif magar ek din ke liye
shor har roz naya uThta hai aKHbaron mein
aaj-kal shikwa-e-napaid hai jis ghairat ka
KHub bikti hai mere shahr ke bazaron mein
faKHr kya kam hai ki nilami-e-yusuf mein 'naim'
tahi-daman the magar the to KHaridaron mein
Leave a comment