Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Riaz

  • Ghazal


patthar se visal mangti hun


patthar se visāl māñgtī huuñ
maiñ ādamiyoñ se kaT ga.ī huuñ

shāyad pā.ūñ surāġh-e-ulfat
muTThī meñ ḳhāk-bhar rahī huuñ

har lams hai jab tapish se aarī
kisī aañch se yuuñ pighal rahī huuñ

vo ḳhvāhish-e-bosa bhī nahīñ ab
hairat se hoñT kāTtī huuñ

ik tiflak-e-justujū huuñ shāyad
maiñ apne badan se kheltī huuñ

ab tab.a kisī pe kyuuñ ho rāġhib
insānoñ ko barat chukī huuñ

patthar se visal mangti hun
main aadamiyon se kaT gai hun

shayad paun suragh-e-ulfat
muTThi mein KHak-bhar rahi hun

har lams hai jab tapish se aari
kisi aanch se yun pighal rahi hun

wo KHwahish-e-bosa bhi nahin ab
hairat se honT kaTti hun

ek tiflak-e-justuju hun shayad
main apne badan se khelti hun

ab taba kisi pe kyun ho raghib
insanon ko barat chuki hun


Source: Husn-e-sukhan

Leave a comment

+