Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


phir misr ke bazar mein nilam hua kyun


phir misr ke bāzār meñ nīlām huā kyuuñ
ai ishq batā terā ye anjām huā kyuuñ

ham bā.is-e-rāhat jise samjhe the vo lamha
ab apne liye bā.is-e-ālām huā kyuuñ

ai ishq falak par tujhe likhā jo ḳhudā ne
phir terā muqaddar bhalā ib.hām huā kyuuñ

ai ishq tirā naam hai jab sach kī alāmat
ai ishq tū rusvā yuuñ sar-e-ām huā kyuuñ

jab ek hī sajde meñ tirā bhed chhupā hai
phir sañg-e-malāmat hī tirā daam huā kyuuñ

ai aañkh tū be-ḳhvāb hai ḳhvāboñ kī talab meñ
ye hijr hī āḳhir tirā in.aam huā kyuuñ

chehre pe tire kis liye hairat hai abhī tak
ye itnī vazāhat pe bhī ib.hām huā kyuuñ

is dil ko hai mahbūb vahī dard kā naġhma
is dil meñ ta.ajjub hai ye kohrām huā kyuuñ

jo terī mohabbat ko samajh hī nahīñ paayā
'shāhīn' ye dil us ke bhalā naam huā kyuuñ

phir misr ke bazar mein nilam hua kyun
ai ishq bata tera ye anjam hua kyun

hum bais-e-rahat jise samjhe the wo lamha
ab apne liye bais-e-alam hua kyun

ai ishq falak par tujhe likha jo KHuda ne
phir tera muqaddar bhala ibham hua kyun

ai ishq tera nam hai jab sach ki alamat
ai ishq tu ruswa yun sar-e-am hua kyun

jab ek hi sajde mein tera bhed chhupa hai
phir sang-e-malamat hi tera dam hua kyun

ai aankh tu be-KHwab hai KHwabon ki talab mein
ye hijr hi aaKHir tera inam hua kyun

chehre pe tere kis liye hairat hai abhi tak
ye itni wazahat pe bhi ibham hua kyun

is dil ko hai mahbub wahi dard ka naghma
is dil mein tajjub hai ye kohram hua kyun

jo teri mohabbat ko samajh hi nahin paya
'shahin' ye dil us ke bhala nam hua kyun


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+