Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


kya KHabar thi ek din ye hadisa ho jaega


kyā ḳhabar thī ek din ye hādisa ho jā.egā
umr bhar chāhā jise vo bevafā ho jā.egā

ho agar azm-e-musammam ḳhvāhish-e-manzil ke saath
raah kā patthar bhī ik din rahnumā ho jā.egā

is qadar baḌhne lagī hai har taraf ālūdgī
saañs lenā aadmī kā mas.ala ho jā.egā

zindagī bhar saath chalne kī jo khātā hai qasam
dekhnā vo rāste hī meñ judā ho jā.egā

ab tumhārā koī ḳhat koī ḳhabar miltī nahīñ
aise aalam meñ to jiinā bhī sazā ho jā.egā

sar uThāte haiñ yahāñ bhī asr-e-hāzir ke yazīd
kal ye ḳhitta bhī mahāz-e-karbalā ho jā.egā

kuchh na kuchh 'ejāz' naġhme likh vatan ke naam par
is tarah se shā.irī kā haq adā ho jā.egā

kya KHabar thi ek din ye hadisa ho jaega
umr bhar chaha jise wo bewafa ho jaega

ho agar azm-e-musammam KHwahish-e-manzil ke sath
rah ka patthar bhi ek din rahnuma ho jaega

is qadar baDhne lagi hai har taraf aaludgi
sans lena aadmi ka masala ho jaega

zindagi bhar sath chalne ki jo khata hai qasam
dekhna wo raste hi mein juda ho jaega

ab tumhaara koi KHat koi KHabar milti nahin
aise aalam mein to jina bhi saza ho jaega

sar uThate hain yahan bhi asr-e-hazir ke yazid
kal ye KHitta bhi mahaz-e-karbala ho jaega

kuchh na kuchh 'ejaz' naghme likh watan ke nam par
is tarah se shairi ka haq ada ho jaega


Source: Book : Teksaal (Pg. 47) Author : Tafzeel Ahmad Publication : kasauti Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+