Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Hoshiarpuri

  • Ghazal


raaz-e-sar-basta mohabbat ke zaban tak pahunche


rāz-e-sar-basta mohabbat ke zabāñ tak pahuñche
baat baḌh kar ye ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche

kyā tasarruf hai tire husn kā allāh allāh
jalve āñkhoñ se utar kar dil-o-jāñ tak pahuñche

tirī manzil pe pahuñchnā koī āsān na thā
sarhad-e-aql se guzre to yahāñ tak pahuñche

hairat-e-ishq mirī husn kā ā.īna hai
dekhne vaale kahāñ se haiñ kahāñ tak pahuñche

khul gayā aaj nigāheñ haiñ nigāheñ apnī
jalve hī jalve nazar aa.e jahāñ tak pahuñche

vahī is gosha-e-dāmāñ kī haqīqat jaane
jo mire dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ tak pahuñche

ibtidā meñ jinheñ ham nañg-e-vafā samjhe the
hote hote vo gile husn-e-bayāñ tak pahuñche

aah vo harf-e-tamannā ki na lab tak aa.e
haa.e vo baat ki ik ik kī zabāñ tak pahuñche

kis kā dil hai ki sune qissa-e-furqat merā
kaun hai jo mire andoh-e-nihāñ tak pahuñche

ḳhalish-añgez thā kyā kyā tirī mizhgāñ kā ḳhayāl
TuuT kar dil meñ ye nashtar rag-e-jāñ tak pahuñche

na pata sañg-e-nishāñ kā na ḳhabar rahbar kī
justujū meñ tire dīvāne yahāñ tak pahuñche

na ġhubār-e-rah-e-manzil hai na āvāz-e-jaras
kaun mujh rahrav-e-gum-karda-e-nishāñ tak pahuñche

saaf tauhīn hai ye dard-e-mohabbat kī 'hafīz'
husn kā raaz ho aur merī zabāñ tak pahuñche

raaz-e-sar-basta mohabbat ke zaban tak pahunche
baat baDh kar ye KHuda jaane kahan tak pahunche

kya tasarruf hai tere husn ka allah allah
jalwe aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunche

teri manzil pe pahunchna koi aasan na tha
sarhad-e-aql se guzre to yahan tak pahunche

hairat-e-ishq meri husn ka aaina hai
dekhne wale kahan se hain kahan tak pahunche

khul gaya aaj nigahen hain nigahen apni
jalwe hi jalwe nazar aae jahan tak pahunche

wahi is gosha-e-daman ki haqiqat jaane
jo mere dida-e-KHun-naba-fishan tak pahunche

ibtida mein jinhen hum nang-e-wafa samjhe the
hote hote wo gile husn-e-bayan tak pahunche

aah wo harf-e-tamanna ki na lab tak aae
hae wo baat ki ek ek ki zaban tak pahunche

kis ka dil hai ki sune qissa-e-furqat mera
kaun hai jo mere andoh-e-nihan tak pahunche

KHalish-angez tha kya kya teri mizhgan ka KHayal
TuT kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunche

na pata sang-e-nishan ka na KHabar rahbar ki
justuju mein tere diwane yahan tak pahunche

na ghubar-e-rah-e-manzil hai na aawaz-e-jaras
kaun mujh rahraw-e-gum-karda-e-nishan tak pahunche

saf tauhin hai ye dard-e-mohabbat ki 'hafiz'
husn ka raaz ho aur meri zaban tak pahunche


Leave a comment

+