Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pahle


ye nazzāra na dekhā thā farāz-e-bām se pahle
nikaltā hai koī sūraj ġhurūb-e-shām se pahle

usī ke naam kar Daale haiñ maiñ ne ratjage apne
kisī kā naam letā hai jo mere naam se pahle

tumhāre ātishīñ lahje se ham ḳhā.if nahīñ lekin
hamārī baat to sun lo zarā ārām se pahle

sukūt-e-shahar-e-ḳhāmoshāñ bhī jis par rashk farmā.e
kuchh aisī kaifiyat hotī hai har kohrām se pahle

rahīn-e-āb-o-dāna hī sahī āvārgī apnī
gharoñ ko lauT aate haiñ parinde shaam se pahle

ba-har-sūrat unheñ ranj-e-asīrī to uThānā hai
nazar daane pe hai parvāz jin kī daam se pahle

ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pahle
nikalta hai koi suraj ghurub-e-sham se pahle

usi ke nam kar Dale hain main ne ratjage apne
kisi ka nam leta hai jo mere nam se pahle

tumhaare aatishin lahje se hum KHaif nahin lekin
hamari baat to sun lo zara aaram se pahle

sukut-e-shahar-e-KHamoshan bhi jis par rashk farmae
kuchh aisi kaifiyat hoti hai har kohram se pahle

rahin-e-ab-o-dana hi sahi aawargi apni
gharon ko lauT aate hain parinde sham se pahle

ba-har-surat unhen ranj-e-asiri to uThana hai
nazar dane pe hai parwaz jin ki dam se pahle


Leave a comment

+