salāmat raheñ dil meñ ghar karne vaale
is ujḌe makāñ meñ basar karne vaale
gale par chhurī kyuuñ nahīñ pher dete
asīroñ ko be-bāl-o-par karne vaale
andhere ujāle kahīñ to mileñge
vatan se hameñ dar-ba-dar karne vaale
garebāñ meñ muñh Daal kar ḳhud to dekheñ
burā.ī pe merī nazar karne vaale
is ā.īna-ḳhāne meñ kyā sar uThāte
haqīqat par apnī nazar karne vaale
bahār-e-do-roza se dil kyā bahaltā
ḳhabar kar chuke the ḳhabar karne vaale
khaḌe haiñ do-rāhe pe dair o haram ke
tirī justujū meñ safar karne vaale
sar-e-shām gul ho ga.ī sham-e-bālīñ
salāmat haiñ ab tak sahar karne vaale
kujā sehn-e-ālam kujā kunj-e-marqad
basar kar rahe haiñ basar karne vaale
'yagānā' vahī fāteh-e-lakhknau haiñ
dil-e-sañg-o-āhan meñ ghar karne vaale
salamat rahen dil mein ghar karne wale
is ujDe makan mein basar karne wale
gale par chhuri kyun nahin pher dete
asiron ko be-baal-o-par karne wale
andhere ujale kahin to milenge
watan se hamein dar-ba-dar karne wale
gareban mein munh Dal kar KHud to dekhen
burai pe meri nazar karne wale
is aaina-KHane mein kya sar uThate
haqiqat par apni nazar karne wale
bahaar-e-do-roza se dil kya bahalta
KHabar kar chuke the KHabar karne wale
khaDe hain do-rahe pe dair o haram ke
teri justuju mein safar karne wale
sar-e-sham gul ho gai sham-e-baalin
salamat hain ab tak sahar karne wale
kuja sehn-e-alam kuja kunj-e-marqad
basar kar rahe hain basar karne wale
'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain
dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale
Leave a comment