Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


ai ham-daman bhulao na tum yaad-e-raftagan


ai ham-damāñ bhulāo na tum yād-e-raftagāñ
vāmāñdgāñ ko hai yahī irshād-e-raftagāñ

jo ġhuncha nā-shagufta hī jhaḌ jaa.e shāḳh se
hai is chaman meñ vo dil-e-nāshād-e-raftagāñ

chashm-o-dil-o-jigar ke liye ashk-e-dard-o-dāġh
ham paas hai ye tohfa-e-imdād-e-raftagāñ

is kārvāñ-sarā meñ ye bāñg-e-jaras nahīñ
hai ye sadā-e-nāla-o-faryād-e-raftagāñ

āsīda-o-ravinda se pūchhā bahut 'muhib'
daryāft par na kuchh huī rūdād-e-raftagāñ

ai ham-daman bhulao na tum yaad-e-raftagan
wamandgan ko hai yahi irshad-e-raftagan

jo ghuncha na-shagufta hi jhaD jae shaKH se
hai is chaman mein wo dil-e-nashad-e-raftagan

chashm-o-dil-o-jigar ke liye ashk-e-dard-o-dagh
hum pas hai ye tohfa-e-imdad-e-raftagan

is karwan-sara mein ye bang-e-jaras nahin
hai ye sada-e-nala-o-faryaad-e-raftagan

aasida-o-rawinda se puchha bahut 'muhib'
daryaft par na kuchh hui rudad-e-raftagan


Leave a comment

+