Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


wahi raTe hue jumle ugal raha hun abhi


vahī raTe hue jumle ugal rahā huuñ abhī
giraft-e-harf se bāhar nikal rahā huuñ abhī

vo ek tū ki havā kī tarah guzar bhī chukā
vo ek maiñ ki faqat haath mal rahā huuñ abhī

mirī numūd kisī jism kī talāsh meñ hai
maiñ raushnī huuñ añdheroñ meñ chal rahā huuñ abhī

kushāda barg raheñ hijr ke ghane saa.e
tire visāl ke sahrā meñ jal rahā huuñ abhī

sahar ke rañg mirī raakh se janam leñge
'najīb' raat kī āñkhoñ meñ jal rahā huuñ abhī

wahi raTe hue jumle ugal raha hun abhi
giraft-e-harf se bahar nikal raha hun abhi

wo ek tu ki hawa ki tarah guzar bhi chuka
wo ek main ki faqat hath mal raha hun abhi

meri numud kisi jism ki talash mein hai
main raushni hun andheron mein chal raha hun abhi

kushada barg rahen hijr ke ghane sae
tere visal ke sahra mein jal raha hun abhi

sahar ke rang meri rakh se janam lenge
'najib' raat ki aankhon mein jal raha hun abhi


Leave a comment

+