Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Badayuni

  • Ghazal


rahen to bahut thin zindagi mein


rāheñ to bahut thiiñ zindagī meñ
ham kho ga.e ishq-o-āshiqī meñ

jo baat kisī meñ chāhte the
ab tak na milī hameñ kisī meñ

vo lamha jo tere saath guzrā
vo lamha bahut hai zindagī meñ

paikar hai vo ek sādgī kā
sau rañg haiñ us kī sādgī meñ

dariyā pe bhī jā ke lauT aa.e
Duube hue kaif-e-tishnagī meñ

anjām-e-bahār sūjhtā kyā
āġhāz-e-bahār kī ḳhushī meñ

aaise bahut āftāb ubhre
jo Duub ga.e haiñ tīrgī meñ

rahen to bahut thin zindagi mein
hum kho gae ishq-o-ashiqi mein

jo baat kisi mein chahte the
ab tak na mili hamein kisi mein

wo lamha jo tere sath guzra
wo lamha bahut hai zindagi mein

paikar hai wo ek sadgi ka
sau rang hain us ki sadgi mein

dariya pe bhi ja ke lauT aae
Dube hue kaif-e-tishnagi mein

anjam-e-bahaar sujhta kya
aaghaz-e-bahaar ki KHushi mein

aaise bahut aaftab ubhre
jo Dub gae hain tirgi mein


Source: Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 181)

Leave a comment

+