Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aabid Adeeb

  • Ghazal


kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin


kār-nāma ai ġham-e-dil kuchh tirā ye kam nahīñ
bah ga.e āñkhoñ se dariyā aur āñkheñ nam nahīñ

saaf thā har lafz us kī be-badal taqrīr kā
phir lahū ne naqsh jo chhoḌe haiñ vo mub.ham nahīñ

har zamāne meñ nahīñ pahchānñā mushkil unheñ
sar qalam hote raheñge un ke lekin ġham nahīñ

karbalā hī ne kiye haiñ murtasim dil par nuqūsh
varna is duniyā meñ ġham kī vārdāteñ kam nahīñ

dil hī dil vo bhīgī lakḌī kī tarah sulgā kiyā
us ke chehre se to lagtā thā ki koī ġham nahīñ

kaifiyat kaisī ajab is shahr kī yādoñ kī hai
garm hai ātish nahīñ aur sard hai shabnam nahīñ

ik alag tahzīb hai tanhā.iyoñ ke shahr kī
ek hī aalam hamesha aur koī mausam nahīñ

phir rahe haiñ log phir hāthoñ meñ sañg-reze liye
aur apne sar meñ saudā is ghaḌī kuchh kam nahīñ

ham se 'ābid' apne rahbar ko shikāyat ye rahī
aañkh mūñde un ke pīchhe chalne vaale ham nahīñ

kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin
bah gae aankhon se dariya aur aankhen nam nahin

saf tha har lafz us ki be-badal taqrir ka
phir lahu ne naqsh jo chhoDe hain wo mubham nahin

har zamane mein nahin pahchanna mushkil unhen
sar qalam hote rahenge un ke lekin gham nahin

karbala hi ne kiye hain murtasim dil par nuqush
warna is duniya mein gham ki wardaten kam nahin

dil hi dil wo bhigi lakDi ki tarah sulga kiya
us ke chehre se to lagta tha ki koi gham nahin

kaifiyat kaisi ajab is shahr ki yaadon ki hai
garm hai aatish nahin aur sard hai shabnam nahin

ek alag tahzib hai tanhaiyon ke shahr ki
ek hi aalam hamesha aur koi mausam nahin

phir rahe hain log phir hathon mein sang-reze liye
aur apne sar mein sauda is ghaDi kuchh kam nahin

hum se 'abid' apne rahbar ko shikayat ye rahi
aankh munde un ke pichhe chalne wale hum nahin


Leave a comment

+