Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghalib Ahmad

  • Ghazal


raat phir jaanib-e-sahar aai


raat phir jānib-e-sahar aa.ī
kitnī dushvār rahguzar aa.ī

chāñd tāroñ ke phuul murjhā.e
jab bhī shabnam kī aañkh bhar aa.ī

hasratoñ kā safed-fām kafan
kaun pahne hue kidhar aa.ī

kis tamannā kī chashm-e-āvāra
Thokareñ khā ke dar-ba-dar aa.ī

aaj rañg-e-shafaq ajiib sā thā
dil kī tasvīr sī utar aa.ī

ik zamāna huā ḳhizāñ guzre
dil ujaḌne kī ab ḳhabar aa.ī

kyā huā dil kī aabrū na rahī
zindagī kuchh to raah par aa.ī

raat phir jaanib-e-sahar aai
kitni dushwar rahguzar aai

chand taron ke phul murjhae
jab bhi shabnam ki aankh bhar aai

hasraton ka safed-fam kafan
kaun pahne hue kidhar aai

kis tamanna ki chashm-e-awara
Thokaren kha ke dar-ba-dar aai

aaj rang-e-shafaq ajib sa tha
dil ki taswir si utar aai

ek zamana hua KHizan guzre
dil ujaDne ki ab KHabar aai

kya hua dil ki aabru na rahi
zindagi kuchh to rah par aai


Leave a comment

+