aaj bhaḌkī rag-e-vahshat tire dīvānoñ kī
qismateñ jāgne vaalī haiñ bayābānoñ kī
phir ghaTāoñ meñ hai naqqāra-e-vahshat kī sadā
Toliyāñ bañdh ke chalīñ dasht ko dīvānoñ kī
aaj kyā suujh rahī hai tire dīvānoñ ko
dhajjiyāñ DhūñDhte phirte haiñ garebānoñ kī
rūh-e-majnūñ abhī betāb hai sahrāoñ meñ
ḳhaak be-vaj.h nahīñ uḌtī bayābānoñ kī
us ne 'ehsān' kuchh is naaz se muḌ kar dekhā
dil meñ tasvīr utar aa.ī parī-ḳhānoñ kī
aaj bhaDki rag-e-wahshat tere diwanon ki
qismaten jagne wali hain bayabanon ki
phir ghaTaon mein hai naqqara-e-wahshat ki sada
Toliyan bandh ke chalin dasht ko diwanon ki
aaj kya sujh rahi hai tere diwanon ko
dhajjiyan DhunDhte phirte hain garebanon ki
ruh-e-majnun abhi betab hai sahraon mein
KHak be-wajh nahin uDti bayabanon ki
us ne 'ehsan' kuchh is naz se muD kar dekha
dil mein taswir utar aai pari-KHanon ki
Leave a comment