zamāne ko ulfat kā dastūr kar duuñ
maiñ terī kahānī ko mash.hūr kar duuñ
tire sāmne ro luuñ jī chāhtā hai
tire dil ko bhī ġham se maiñ chuur kar duuñ
masīhā kā ehsāñ nahīñ chāhtī huuñ
maiñ zaḳhmoñ ko apne hī añgūr kar duuñ
mire ishq par koī tohmat na dharnā
agar tum kaho ḳhud ko mansūr kar duuñ
agar mil sake mujh ko ashkoñ ke badle
ġham-e-ishq se ḳhud ko ma.amūr kar duuñ
agar aañkh bhar ke vo dekhe mujhe to
maiñ dil us kī ḳhidmat pe māmūr kar duuñ
girā duuñ maiñ nafrat kī dīvāreñ saarī
mohabbat ko duniyā kā manshūr kar duuñ
zamane ko ulfat ka dastur kar dun
main teri kahani ko mashhur kar dun
tere samne ro lun ji chahta hai
tere dil ko bhi gham se main chur kar dun
masiha ka ehsan nahin chahti hun
main zaKHmon ko apne hi angur kar dun
mere ishq par koi tohmat na dharna
agar tum kaho KHud ko mansur kar dun
agar mil sake mujh ko ashkon ke badle
gham-e-ishq se KHud ko mamur kar dun
agar aankh bhar ke wo dekhe mujhe to
main dil us ki KHidmat pe mamur kar dun
gira dun main nafrat ki diwaren sari
mohabbat ko duniya ka manshur kar dun
Leave a comment