Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Yawar

  • Ghazal


hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye


ham apnī pusht par khulī bahār le ke chal diye
safar meñ the safar kā e'tibār le ke chal diye

saḌak saḌak mahak rahe the gul-badan saje hue
thake badan ik ik gale kā haar le ke chal diye

jibillatoñ kā ḳhuun khaulne lagā zamīn par
to ahd-e-irtiqā ḳhalā ke paar le ke chal diye

pahāḌ jaisī azmatoñ kā dāḳhila thā shahr meñ
ki log āgahī kā ishtihār le ke chal diye

jarāhateñ milīñ hameñ bhī inkisār ke evaz
jhukā ke sar sadāqatoñ kī haar le ke chal diye

hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye
safar mein the safar ka e'tibar le ke chal diye

saDak saDak mahak rahe the gul-badan saje hue
thake badan ek ek gale ka haar le ke chal diye

jibillaton ka KHun khaulne laga zamin par
to ahd-e-irtiqa KHala ke par le ke chal diye

pahaD jaisi azmaton ka daKHila tha shahr mein
ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye

jarahaten milin hamein bhi inkisar ke ewaz
jhuka ke sar sadaqaton ki haar le ke chal diye


Source: Book : Word File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+