mahfiloñ meñ jā ke ghabrāyā kiye
dil ko apne laakh samjhāyā kiye
yaas kī gahrā.iyoñ meñ Duub kar
zaḳhm-e-dil se ḳhud ko bahlāyā kiye
tishnagī meñ yaas o hasrat ke charāġh
ġham-kade meñ apne jal jaayā kiye
ḳhud-farebī kā ye aalam thā ki ham
ā.īna duniyā ko dikhlāyā kiye
ḳhūn-e-dil unvān-e-hastī ban gayā
ham to apne saaz par gaayā kiye
mahfilon mein ja ke ghabraya kiye
dil ko apne lakh samjhaya kiye
yas ki gahraiyon mein Dub kar
zaKHm-e-dil se KHud ko bahlaya kiye
tishnagi mein yas o hasrat ke charagh
gham-kade mein apne jal jaya kiye
KHud-farebi ka ye aalam tha ki hum
aaina duniya ko dikhlaya kiye
KHun-e-dil unwan-e-hasti ban gaya
hum to apne saz par gaya kiye
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
mahfilon mein ja ke ghabraya kiye
Nomaan Shauque
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment