Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Sahbai

  • Ghazal


be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye


be-hisī par hissiyat kī dāstāñ likh dījiye dhuup se ab barf par āb-e-ravāñ likh dījiye
  kātib-e-taqdīr Thahre aap ko rokegā kaun jo bhī ankur sar uThā.e rā.egāñ likh dījiye
  aap kī āñkhoñ meñ chubh jā.egī varna raushnī ham charāġhoñ ke muqaddar meñ dhuāñ likh dījiye
  mushtahar ho jā.ūñgā firqa-parastī ke liye merī peshānī pe aap urdu zabāñ likh dījiye
  ham ġharīboñ se ri.āyat kī zarūrat hī nahīñ sub.heñ dozaḳh haiñ to shāmoñ ko dhuāñ likh dījiye
  aap to shāyad qasam hī khā chuke taḳhrīb kī har jagah dhartī pe ab ātish-fishāñ likh dījiye
  be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye dhup se ab barf par aab-e-rawan likh dijiye
  katib-e-taqdir Thahre aap ko rokega kaun jo bhi ankur sar uThae raegan likh dijiye
  aap ki aankhon mein chubh jaegi warna raushni hum charaghon ke muqaddar mein dhuan likh dijiye
  mushtahar ho jaunga firqa-parasti ke liye meri peshani pe aap urdu zaban likh dijiye
  hum gharibon se riayat ki zarurat hi nahin subhen dozaKH hain to shamon ko dhuan likh dijiye
  aap to shayad qasam hi kha chuke taKHrib ki har jagah dharti pe ab aatish-fishan likh dijiye
  <!-- --> "> be-hisī par hissiyat kī dāstāñ likh dījiye dhuup se ab barf par āb-e-ravāñ likh dījiye
  kātib-e-taqdīr Thahre aap ko rokegā kaun jo bhī ankur sar uThā.e rā.egāñ likh dījiye
  aap kī āñkhoñ meñ chubh jā.egī varna raushnī ham charāġhoñ ke muqaddar meñ dhuāñ likh dījiye
  mushtahar ho jā.ūñgā firqa-parastī ke liye merī peshānī pe aap urdu zabāñ likh dījiye
  ham ġharīboñ se ri.āyat kī zarūrat hī nahīñ sub.heñ dozaḳh haiñ to shāmoñ ko dhuāñ likh dījiye
  aap to shāyad qasam hī khā chuke taḳhrīb kī har jagah dhartī pe ab ātish-fishāñ likh dījiye
  be-hisi par hissiyat ki dastan likh dijiye dhup se ab barf par aab-e-rawan likh dijiye
  katib-e-taqdir Thahre aap ko rokega kaun jo bhi ankur sar uThae raegan likh dijiye
  aap ki aankhon mein chubh jaegi warna raushni hum charaghon ke muqaddar mein dhuan likh dijiye
  mushtahar ho jaunga firqa-parasti ke liye meri peshani pe aap urdu zaban likh dijiye
  hum gharibon se riayat ki zarurat hi nahin subhen dozaKH hain to shamon ko dhuan likh dijiye
  aap to shayad qasam hi kha chuke taKHrib ki har jagah dharti pe ab aatish-fishan likh dijiye
  <!-- -->

Source: Book : aatish zer pa (Pg. 35) Author : zafar sehbai Publication : zafar sehbai Bhopal(2009) Edition : 2009

Leave a comment

+